Urdu Poetry in the Digital Age
ARZ KIYA HAI ......
Joh sadiyaon se hota aaya hai
Woh repeat kar doonga...
Tu naa mili to tujhko dil sey
Ctrl+Alt+Delete kar doonga...
`
Company kee ladkiyaan sunder hain
Aur lonely hain...
Problem ye hai ki bus voh
READ-ONLY hain...
`
Shayad mere pyar ko taste
Karna bhool gaye...
Dil sey aisa CUT kiya
ke PASTE karna bhool gaye...
`
Tumhare samne hain itney items
Kabhi hame bhi pick karo...
Hamare pyar ke ICON pe
Kabhi to tum DOUBLE-CLICK karo...
`
Roz subha hum karte hai
Itne pyar se unhe good morning...
Woh humhe ghoor kar dekhte hain
Jaise 0 ERRORS but 5 WARNINGS...
`
Ho gayi galti humse,
Click ho gaya mouse
Duniya ki parwaah chhodo,
ban jaao meri spouse!
`
Tumse mila main kal to,
Mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili
To kehti ho: Your file not found!
`
Ab aur kaho na tum, "but" ya "if"
Tum ho meri zindagi ki animated GIF
`
Aysa bhi nahin hai ke,
don't likeyour face
Par dil ke computer mein,
Nahin hai enough disk space
`
Ghar se nikalti ho tum jab,
pehen ke evening gown
Too many requests se,
Ho jaata hai server down
`
Tumhaare liye pyaar ki application,
Create main karoonga
Tum usse debug karna,
Wait main karoonga
`
Tumhaara intezaar karte karte,
Main so gaya
Yeh dekho mera connection,
Time out ho gaya
`
Kya chaal hai tumhaari,
Jaise chalti hai koi cat
What is your ICQ number,
Aao karein chat
`
Tum jabse meri zindagi,
mein aayi ho banke female,
Yaad raha na ab kuch,
Na postman , Na e-Mail
From : "Anoop Dhamangaonkar" <dcanoop@hotmail.com>
Subject : Fwd: Urdu Poetry in Digital Age
Date : Sun, 27 Jan 2002 14:17:31 +0530